Chalo Ek Diya Jalaayein!!!!
- Arijit Bose
- Oct 27, 2016
- 2 min read

चलो एक दीया जलायें
Chalo ek diya jalaayein, andar ke andhere ko bhagayein Chalo kisi ke dard ko apnaayein, kisi ke gamon ko door bhagayein Chalo sajde mein haath uthayen Na jhukne dein kisi ka sar, bas bhagwan ke darbar mein sheersh jhukayein Pichhle klesh ko roshni se mitayen Haathon ko jod bhagwan ko ghar bulaayein Chalo aaj ek diya jalaayein…………..
Ganesh ki hai virat kaya, Lakshmi ki hai hum par maya Charo or ujala chhaya Ram padhare Ayodhya aur charo or khushhali hi khushhali chhaya Kahin nahi hai ab bura saya Shradhaluon ne hai Ganpati ka gur Gaya, Lakshmi deti vardan aur ghar ki chaukhat par hai Labh aaya Chalo ab Dhoom Dham se Diwali Manayein Chalo aaj ek diya Jalaayein………
Ghar ghar hai roshan, rangoliyon se saji hai chaukhat Is din mein mann mein nahi hai koi milavat Aao ek ho kar manaye jaise ho aaj koi daavat Khelo, koodo, jashn manao, karo achhi achhi sajavat Aaj Patakho ke awaaz mein milti hai raahat Bas sukh aur shanti bani rahe isi ki hai bas chahat Chalo phir mil jul ke is din ko manayein Chalo aaj ek diya jalaayein………….
Bazaar aaj hai bhara bhara Dukaanon mein hai raunak aur patakhon ki dukan par hai grahak khara Koi khareedta anaar, to koi hai leta rocket, Nana prakar ke pathakon se hain basta bhara Aaj hai burai par achhai ki jeet ka jashn Aur mahaul hai khushnuma zara zara Chalo mil jul kar is din ko manayein Chalo Ganesh Lakshmi ko ghar laayein Chalo Bhoot Chaturdashi pe bhoot bhagayein Chalo aaj ek Diya jalaayein……………
Aaj na hindu, na muslim, na hi isayi ya sikh mein pench ladana hai Aaj to milke jashn manane ka ek bahana hai Andar dabe buraiyyon ko aaj to humein jalana hai Aaj Diwali par bhetein sunta hoon to lagta koi fasana hai Inflation ke din mein saste bum mano guzra zamana hai Phir bhi aaj to tai hai ki phooljhari to jalana hai Aaj ek baar chakkarghinni to ghumana hai Tabhi to kehta hoon aao mil jul kar tyohar manayein
Chalo aaj ek Diya jalayein………… Chalo aaj ek Diya Jalayein
Comments