Diye Jal Uthe, Chalo Diwali Aayi
- Arijit Bose
- Oct 30, 2016
- 2 min read
Hazaron Diye Jal Uthe , Chalo Diwali Aayi
Har ore bamon ka chitkar
Har ghar mein jyoti ki bahar
Shubh aur Labh ke ghar mein aaj hai aane ke aasar
Diya aur baati karte har kone ko roshan
Khushi ka hai mausam aur hum khushiyon ki kamna karte hain baar baar
Badhayi un sabko jo hain humare yaar
Samajhta hoon ki roshni aur dhan hai Diwali ka saar
Umeed hai ki koi na ho bimar aur bekaar
Phalo phulo aur khushiyan manao kyunki aaj diwali hai mere yaar
Ladte raho rukavaton se aur mano na kabhi haar
Aaj Ram laut aaya
Aaj hai har taraf khushhali chhaya
Duaon mein hain aap sab,
maloom hai ki meri duaen nahi jayengi zaaya
Deep jal uthe aaj nahi koi dusht saaya
Aaj ghar mein hai logon ne aarti gaya
Badi ajeeb hai hai Bhagwan ka moh aur maya
Aaj bhagwan virajman hain aur badi vichitra hai unki kaya
Bam dagao, zindagi jiyo khatam karo andar daba andhera
Aaj ke din nahi koi kya tera, kya mera
Diwali ki raat thi suhani, ab aane wala hai naya savera
Hazaaron Diye jal uthe ,aayi roshni,
jispar hai chamakta hua sitara
Aaj ke din koi rahe gumgeen ye hai humein nahi gavara
Aise din jaldi aate nahin dobara
Yehi han tyohar jisne hai mujhe savara
Aise dinon mein badon ka dular hai jisne humein hai bigara
Aaj dil bagh bagh hogaya kyunki Diwali hai priya tyohar humara
Aaj Hazaaron Diye jal uthe, Phir Diwali Aaya
Ye koi mamuli din nahi ye hai Jashne Bahara
Hazaaron Diye Jal uthe, chalo Diwali aayi
Diya , Bati, Mithayi aur pathakon ke saath saath, ye hai dheron khushiyan layi
Aaj bhagwan ke naye murtiyon ko hum sabne naye vastra pehnayi
Rangeeniyan aur melon ka mausam,
jisme hai pauranik gathaon ki ajeeb parchhai
Kisine is din patakhe jalake hai bitayi,
to kisi ne puja kar ghar ko mandir banayi
Jhalaron ki ladi ne diwalon ki shobha badhayi
Kabhi humne hai chatai ki ladi bichhai,
To kabhi bumon ke dhamake se kisi ki neend udayi
Humnen kisi ko Diwali ke din bura na manne ki kasam dilayi
Par shaitaniyon se humne hai bahut dhoom macchayi
Jaate Jaate uske liye bhi prarthana karte hain
Jinhom ne hai in aag ke golon ko banayi
Kai jale, kai bujhe aur kisiki jyoti chali gayi
aur kaiyyon ko nahi deta dikhayi
Jab roshan hai jahaan deep aur pathakon se
Tab kuch ne hain apni jaan gavayi
Factoriyon mein aag lagi ya lagvayi ye to pata nahi
Nahi par aaj is pavan mauke pe un nanhe bacchon ki yaad zaroor aayi.
Phir yahi baat kehta hoon, hazaaron diye jal uthe
Aur Aaj hai Diwali Aayi
Khao Piyo Aish karo aur khilao ek dusre ko mithai
Humne to Kheel, laiyya lava gutta se hai Bhagwan ki puja karvayi
Tum bhi karo aur yaad karo unko, jinhone hain duniya Dikhai
Chalo hum chale maze karne, Aap bhi jao
Lete hain hum aap se Vidayi
Diwali ke shubh avsar par aapko aur aapke parivar ko bahut bahut badhayi.

Comments